People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Kam Nahin Sharab Se
Singer: Asha Bhosle
Music: N.Dutta
Lyricist: S.H.Bihari
Album: Aag Aur Daag
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Daag/Kam-Nahin-Sharab
kam nahi sharab se shokhiya shabab ki ye hamari mastiya
wo ada janab ki kam nahi sharab se

pyar ke nashe me hum jidhar nikal gaye
har kadam pe aashiqo ke dil machal gaye
pyar ke nashe me hum jidhar nikal gaye
har kadam pe aashiqo ke dil machal gaye
is ada se mastiyo me jhumke chale
yaha waha pe sekndo jawa fisal gaye
kam nahi sharab se shokhiya shabab ki ye hamari mastiya
wo ada janab ki kam nahi sharab se

zindagi hai apni aise pyar ke bina
jaise koi bag ho bahar ke bina
zindagi hai apni aise pyar ke bina
jaise koi bag ho bahar ke bina
ya ke aisa phul jisme dilkashi na ho
ya dulhan suhag me singar ke bina
kam nahi sharab se shokhiya shabab ki ye hamari mastiya
wo ada janab ki kam nahi sharab se

aisi dil ki mehfile milegi phir kaha
husn hai shabab hai sharab hai yaha
aisi dil ki mehfile milegi phir kaha
husn hai shabab hai sharab hai yaha
jitna chahe jo yaha behak ke dekh le
har khata maf hai hajur ki yaha
kam nahi sharab se shokhiya shabab ki ye hamari mastiya
wo ada janab ki kam nahi sharab se
Tere Is Pyar Ka Shukriya
Singer: Mohammad Rafi
Music: N.Dutta
Lyricist: S.H.Bihari
Album: Aag Aur Daag
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Daag/Tere-Is-Pyar-Ka-
aaj in haathon mein phir se
zindagi hai saaz hai
kyaa kahu ae husn tujhpar
kitna mujh ko naaz hai
tere is pyar ka shukriya mere meharbaa
tere is pyar ka shukriya mere meharbaa
mere meharbaa, mere meharbaa

socha na tha kabhi
itni haseen bhi, hoti hai zindagi ae jaan-e-jaan
socha na thha kabhi
itni haseen bhi, hoti hai zindagi ae jaan-e-jaan
tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan
mere meharba, mere meharba

maana ke zindagi, kaanton me hai pali
phoolo se hai bhari, meri daastaa
maana ke zindagi, kaanto me hai pali
phoolon se hai bhari, meri daastaan
tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
tere is pyar ka shukriyaa, mere meharbaa
mere meharbaan, aa, mere meharbaa

tu hai to raat kya, darne ki baat kya
taaron se hai bhara, mera aasmaan
tu hai to raat kya, darne ki baat kya
taaron se hai bhara, mera aasmaan
tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
mere meharbaa, mere meharbaa
Choli Bheegi Lat Bheegi
Singer: Asha Bhosle
Music: N.Dutta
Lyricist: S.H.Bihari
Album: Aag Aur Daag
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Daag/Choli-Bheegi-Lat
choli bheegi lat bheegi, bheega ye badan
kya hoga aise me jo aa jaaye sajan
choli bheegi lat bheegi, bheega ye badan
kya hoga aise me jo aa jaaye sajan, choli bheegi

main to sharma jaaungi, mai to ghabra jaaungi
main to sharma jaaungi, mai to ghabra jaaungi
kyun meri ye haalat hai, kaise ye samjhaaungi
thar thar, thar thar kanpega, thar thar, thar thar kanpega
chaandi ka badan
kya hoga, kya hoga aise me jo aa jaayen sajan
choli bheegi lat bheegi, bheega ye badan
kya hoga aise me jo aa jaayen sajan, choli bheegi

chupke chupke raah taku, chori chori aah bharu
chupke chupke raah taku, chori chori aah bharu
man hi man me ye sochu, kaise un ko pyaar karu
kitni pyari pyari hai, un ki ye lagan
kya hoga, kya hoga aise me jo aa jaaye sajan
choli bheegi lat bheegi, bheega ye badan
kya hoga aise me jo aa jaaye sajan, choli bheegi

aaj ki rut mastaani bhi, meri shokh jawaani bhi
do saanso ki khushbu se thanda thanda paani bhi
mehka hoga jaise ke, mehka hoga jaise ke
phoolon ka chaman
kya hoga, kya hoga aise me jo aa jaaye sajan
choli bheegi lat bheegi, bheega ye badan
kya hoga aise me jo aa jaaye sajan, choli bheegi haaye
Humse Badhkar Kaun
Music: N.Dutta
Lyricist: S.H.Bihari
Album: Aag Aur Daag
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Daag/Humse-Badkar-Kau
humse badhkar kaun hoga aapka diwana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana
humse badhkar kaun hoga aapka diwana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana

chahe jitne bhi kathin ho jindagi ke raste
jindagi sari hai dilbar aap hi ke vaste
chahe jitne bhi kathin ho jindagi ke raste
jindagi sari hai dilbar aap hi ke vaste
do kadam chalke kahi ruk jaye na diwana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana
humse badhkar kaun hoga aapka diwana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana

kya pta taqdeer ko kuch aur hi manjur ho
chal pade hai ab to manjil chahe jitni dur ho
kya pta taqdeer ko kuch aur hi manjur ho
chal pade hai ab to manjil chahe jitni dur ho
rah nahi sakta adura pyar ka afsana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana
humse badhkar kaun hoga aapka diwana
kitne din hai mohabbat ye jara farmana
yeh pyar ka jhagda ha
Singer: Mohammad Rafi
Music: N.Dutta
Lyricist: Noor Devasi
Album: Aag Aur Daag
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aag-Aur-Daag/Yeh-Pyar-Ka-Jhag
yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije
bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije
yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije
bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije
yeh pyar ka jhagda hai

tanha na kat sakega, yeh raasta safar ka
koyi to ho sahara, sarkar umr bhar ka
tanha na kat sakega, yeh raasta safar ka
koyi to ho sahara, sarkar umr bhar ka
mera nahin to apna, mera nahin to apna
kuchh to khayal kije
yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije
bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije
yeh pyar ka jhagda hai

tevar bhi juda dekhe, andaz naya paya
palkon ke taley maine, har raaz naya paya
tevar bhi juda dekhe, andaz naya paya
palkon ke taley maine, har raaz naya paya
yeh raaz bhala kya hai, yeh raaz bhala kya hai
yeh raaz bata dije
yeh pyar ka jhagda hai, to pyar se tay kije
bimar-e-mohabbat ko, aisi na saza dije
yeh pyar ka jhagda hai